Saturday, March 30, 2013

Aaj yeh mausam kuch alag sa hai - Love Shayari



love shayari in hindi
Yeh hawa ka rukh, yeh thehra sama
Bheed mein gumsum, main kahi tanha
Aaj yeh din kuch alag sa hai
Meelon ke faasle, dilon ki ye dhadkan

Pyar mein tere mera yeh ladakpan
Aaj yeh rishta kuch alag sa hai
Patjhad ke thapedo ko sahan na jab kar paye
Karte h aaj wo intezaar saawan ka nazre bichaye

Aaj yeh mausam kuch alag sa hai
Kayamat ki chah mein har pal ansoo bahana
Tera woh chal padna aur mera thehar jana
Aaj yeh manzar kuch alag sa hai
 

No comments:

Post a Comment